Looking for a special Teachers’ Day speech in Hindi? This speech honors the incredible work teachers do. Teachers shape our future by teaching us important stuff and being great role models. The speech helps you say ‘thank you’ to your teachers.
Start with a quick intro about why Teachers’ Day is cool. Then, talk about how teachers try really hard to teach well and help us grow as individuals. They’re not just about lessons – they care about our character too.
The speech also reminds us that teachers help build a better society by teaching good values and skills. Even when teaching gets tough, they don’t give up – that’s what makes them awesome.
End by saying how important it is to show appreciation and respect to teachers. This speech will remind you and your friends why teachers are so important. It’s an easy-to-understand and SEO-friendly description that’s perfect if you want a great Teachers’ Day speech!
Teachers Day Speech in Hindi – 1
Sabhi shikshakon evam mere pyare sahpathiyon jaise ki aap sabhi logo ko vidit hai ki aaj hum yahan shikshak divas ke shubh avsar par ekatrit huye hai. Yahan main apne sabhi sammanit shikshakon evam sabhi sahpathi bhai bahanon ka swagat karti hoon. Hum apne shikshakon dwara kiye karyon ko svikar karte hai evam unki sarahna karte hai. Kisi ko shiksha dena sabse badi seva hai. Anadi kaal se shikshan hamare dada-dadi mata-pita ki kahaniyon ke madhyam se hota raha hai. Jab se guru pranali ka abhyas kiya gaya hai tab se yah ek shikshan peshe ke roop mein samne aaya hai. Pracheen samay mein logo ke dwara shiksha ko grahan rishi muniyon ke madhyam se kiya jata tha. “Guru shabd ek sanskrit ka shabd hai jiska arth hai shikshak, margdarshak ya visheshagya.”
Jab hum apne man mein vichar karte hai to hamare jeevan ke sabse pehle guru hamare mata-pita hai, jo humein yah shiksha dete hai ki jeevan ki mushkil paristhitiyon mein kaise safal hona hai. Guru sabhi ke jeevan mein ek bahu mulyavan hai hamare shikshak gan humein vah shiksha ka gyaan karate hai jo hame hamare hiton mein padhakar humein manzil tak pahunchane ka margdarshan karte hai. Aaj Teacher’s day ke is avsar par hum chote-chote tareekon se unka samman karte hai.
Yah samaroh varsh 1962 mein pratham bar Bharat mein aayojit kiya gaya. Bharat varsh mein yah pratyeck varsh 5 sitambar ke din manaya jata hai. Bharat ke dusre rashtrapati Dr. Sarvepalli Radhakrishnan evam APJ Abdul Kalam shikshak hone ka ek aham udaharan hai. Yah guruon ke samman karne ka ek mahatvapurn din hai. Shikshak chhatra ke man ko samajhte hai jiske anusar vah apne chhatra-chhatriyon ko gyaan dene mein sahyog karte hai. Guru hamare jeevan mein hame kisi bhi samasya ke samadhan dhundhne ka ek sahi tarika dikhane ka prayas karte hai. Chhatra ka margdarshan karke uske bhagya ko ek naya jeevan daan dene wala shikshak vah mahatvapurn hissa hai jo safal career banane mein bina kisi niswarth bhav se chhatra ka sahyog karte hai. Shiksha chhatriyon ke jeevan ke liye vah avashyak gati hai jiske baad any sabhi mukaam ko apne jeevan mein hasil kar sakte hai.
Teachers Day Speech in Hindi(Teachers Day Speech in Hindi) – 2
5 September chhatraaon ke jeevan mein apne guruon ka samman karne ke liye ek vishesh avsar pradan karta hai. Yeh shikshak divas ke roop mein manaya jaane wala woh mahatvapurn din hai jiske tahat chhatraaon ko apne gurujaanon ki sarahna aur samman karne ka ek mauka pradan karta hai. Yeh ek utsav ke roop mein manaya jaane wala din hai jo chhatraaon ke dwara bhashan pratiyogita evam anya prakaar ke shikshaakon ko card gift dekar celebrate kiya jaata hai. Chhatraaon ke liye shikshaakon ke dwara padhaya jaana vaastav mein ek samman aur saubhagya ki baat hai jo hame choti-choti baaton mein gyaan dekar mahaan kaary karne ke liye prerit karti hai. Shikshaakon ki prashansa karna isliye aavashyak hai kyunki woh hamaare liye jo yogdaan dete hai woh ek kisi mahaan kaary se kam nahi hai. Ek shikshak apne jeevan mein sabse jyaada khush tab hote hai jab unke chhatra apne jeevan unse behtar evam safal hone ke liye vikasit hote hai.
Sarvapalli Radhakrishnan ji ke janm din ke uplaksh mein manaya jaane wala ek vishesh din hai. Is din desh ke sabhi skoolon mein bacchon ke dwara apne guruon ke din ko vishesh banaane ke liye vibhinn prakaar ke kaaryakramon ka aayojan kiya jaata hai. Paramparik veshbhoosha pahan ke chhatraaon ke dwara shikshak ki bhoomika nibhaai jaati hai.
Teachers Day Speech in Hindi(Teachers Day Speech in Hindi) – 3
Jis tarah ek pakki neenv hi thos aur majboot bhavan ka nirmaan karti hai, theek usi prakar shikshak vidyarthi roopi neenv ko sudridh karke us par bhavishya mein safalta roopi bhavan khada karnen mein sahayata karta hai. Ek shikshak hi hai jo manushya ko safalta ki bulandiyo tak pahunchata hai aur jeevan mein sahi aur galat ko parkhne ka tarika batata hai. Kaha jata hai ki ek bachche ke jeevan mein uski ma pehli guru hoti hai, jo hamein is sansaar se avagat karati hain. Vahi doosre sthan par shikshak hote hain, jo hamein sansaarik bodh karate hain. Jis prakar ek kumhar mitti ko bartan ka aakaar deta hai, theek usi prakar shikshak chhatra ke jeevan ko moolyavaan banata hai. Shikshak se hamara sambandh baudhik aur aanshik hota hai. Pratyek varsh Dr. Sarvepalli Radhakrishnan ki jayanti ke uplakshya mein shikshak divas manaya jata hai.
Vishvabhar mein shikshak divas 5 October ko manaya jata hai, lekin Bharat mein yah 5 September ko manaya jata hai. Is din Aazaad Bharat ke pehle uparaashtrapati aur doosre raashtrapati Dr. Sarvepalli Radhakrishnan ka janm hua tha. Yahin kaaran hai ki ham ek maah pehle shikshak divas manate hain. Tamil Nadu ke Tirutani mein paida hue Sarvepalli Radhakrishnan ka parivaar Sarvepalli naamak gaanv se talluk rakhta tha. Unke parivaar ne gaanv chhodne ke baad bhi gaanv ke naam ko nahin chhoda.
Sarvepalli Radhakrishnan bachpan se hi ek medhaavi chhaatr the aur chhaatravritti ke madhyam se hi unhone apni padhaai poori ki. Mahaj 18 saal ki umr mein unhone Ethics of Vedanta par apni ek kitaab likhi aur 20 saal ki umr mein vah Madras Presidency College mein Philosophy vibhaag mein professor ban gaye. Unhone darshan shastra mein na keval degree li, balki lecturer bhi bane. Unhone Bharatiya darshan ko hamesha vaishwik patal par rakha.
Doctor Radhakrishnan chahte the ki, unka janmdivas desh bhar ke shikshakon ko yaad karne ke liye manaya jaaye, taaki shikshakon ke yogdaan ko sammaan mil sake. Yahin kaaran hai ki saal 1962 se pratyek varsh hum Sarvepalli Radhakrishnan ke janmdivas ko shikshak divas ke roop mein manate hain. Is din school aur college se lekar vibhinn shikshanik sansthano mein bade utsaah ke saath shikshak divas manaya jata hai. School mein bhaashan pratiyogita ke saath tarah-tarah ke karyakram aayojit kiye jaate hain. Aise mein yadi aap bhi shikshak divas ke din bhaashan pratiyogita mein hissa lene ja rahe hain, toh hamare is lekh par ek nazar avashya daalein.
Speech on Teacher’s Day(Teachers Day Speech in Hindi) – 4
Adarniya Pradhanadhyapak Ji, Adhyapak aur Mere Pyare Sahpathiyon Aapko Mera Namaskar!
Jaisa ki hum sabhi jaante hain ki aaj hum yahaan par Shikshak Diwas manane ke liye ekatr hue hain. Aaj main aapko Shikshak Diwas par bhashan sunaane ja raha hoon. Aap sabhi ko Shikshak Diwas ki hardik badhaai.
Hum apne shikshakon aur gurujano ke sammaan dene ke liye har saal 5 Sitambar ko Shikshak Diwas manaate hain. Iski shuruaat 1962 mein hui thi. Kyunki is din hamare desh ke pehle up-rastrapati Dr. Sarvapalli Radhakrishnan ka janm hua tha. Ve ek yogya shikshak ke roop mein jaane jaate the. Inhone sabhi se aagrah kiya ki is din ko sabhi shikshak diwas ke roop mein mana kar yogya shikshakon ko uchit sammaan dena chahiye.
Adhyapak ko desh aur samaj ka gaurav maana gaya hai. Shikshak hi ek aisa vyakti hai jo aane waali peedhi ko vikasit aur unnatishil desh ke liye yogya shiksha dekar ek yogya peedhi ko taiyaar karta hai. Ek teacher har samay apne gyaan ko badhata rehta hai, jisse ki vah apne vidyarthi ko ek uchch shikhar par pahuncha sake. Vah hamesha yahi prayas karta hai ki vah bachchon ka ek accha margdarshak ban sake.
Har kisi ke ek bade rajneta, kalakar, doctor, vaigyanik, engineer, kisan, sainik, aadi ke peeche ek shikshak ki mehnat ka hi parinaam hota hai. Ek shaktishali aur vikasheela desh mein shikshak ka ek ahem hissa hota hai. Sabhi deshon mein Shikshak Diwas manaya jaata hai. Sabhi deshon mein Shikshak Diwas manane ke uddeshya ek shikshak ko uchit maan-samman dena aur shiksha ke kshetra mein praapt sabhi uplabdhion ki prashansa karna hai.
Har bacche ke anushasan aur uske charitra nirmaan mein ek shikshak ka hi haath hota hai aur anushasan aur charitra hi aage jaakar ek desh ki shakti ke roop mein ubharti hai. Shikshak Diwas ke mauke par chatron ko apne adhyapak ki bhumika ada karne ka mauka milta hai, jise chatra bakhubi bade prem se isey poora karte hain.
Meri aur sabhi mere saathi vidyarthiyon ki taraf se sabhi shikshakon ko dil se Shikshak Diwas ki bahut-bahut badhaai aur shubhkaamnayein.
Dhanyavaad!
Speech on Teacher’s Day(Teachers Day Speech in Hindi) – 5
Adarni Mere Sabhi Adhyapak, Mere Pyare Sahpathiyon aur Sabhi Atithigan, Sabhi ko Mera Suprabhaat!
Jaisa ki hum sabhi jaante hain ki aaj Shikshak Diwas hai aur yah din manane ke liye aaj hum is prangan mein saath hue hain. Aaj main mere sabhi apne adhyapakon ka abhaar vyakt karne ke liye Shikshak Diwas par bhashan dene ja raha hoon.
Jaisa ki aaj 5 Sitambar hai. Aaj Shikshak Diwas hone ke saath-saath aaj hamare desh ke poorv up-rastrapati maananiya Dr. Sarvapalli Radhakrishnan ka bhi janmadin hai. Shikshak Diwas inke janmadin par manaya jata hai. Kyunki ye ek yogya up-rastrapati ke saath ek pratishthit shikshak bhi the. Isi karan hum unke janmadin ka jashn pure desh mein Shikshak Diwas ke roop mein manaate aa rahe hain.
Shikshak Diwas manane ke peeche mukhya uddeshy har ek safal vyakti ke peeche shikshakon ki mehnat ko ujagar karna hi hai. Har koi chaahe vo bade se bada vyakti hi kyun na ho uski safalta ke peeche ek shikshak ki hi kadi mehnat hoti hai. Shikshak ki is mehnat se hi vo aaj safalta ke is shikhar par hai.
Desh ke samast shikshakon ke prati sammaan prakat karne ke uddeshya se is din ko Shikshak Diwas ke roop mein manaya jata hai. Har ek chatr ke charitra aur vyaktitva ko ujjwal banakar ek aadarsh nagarik banane mein shikshak apni mahatvapurna bhumika nibhate hain. Shikshak kabhi apne chatron mein bhedbhaav nahi karte, vah bina kisi bhav ke sabhi apne chatron ko samaan shiksha dete hain. Har ek shikshak ki jimmedari hoti hai ki uske chatr ka vah bhavishya ko safal aur ujjwal karein.
Teachers hi hamaare gyaan ka ek asimit srot hai, jo bina kisi bhav ke hamein gyaan pradaan karta hai. Hamare jeevan ko ek sahi disha mein aage badhate hain. Ant mein main sabhi chatron se yahi nivedan karunga ki sabhi apne shikshakon ka aadar-samman karein, unke disha-nirdesh mein ek acche nagarik banein aur desh ko safal banane mein apni ahem bhumika nibhayein.
Sabhi shikshakon ko Shikshak Diwas ki badhaai.
Dhanyavaad!
Shikshak Divas Par Behatreen Bhashan – 6
Priya Pradhanacharya Ji, Sabhi Shikshakon, Shikshikaon Aur Mere Saathiyo Sabhi Ko Mera Subah Ka Namaskaar!
Aaj Hum Sabhi Yahaan Par Shikshak Divas Ke Uplaksh Mein Ektrit Hue Hain. Yah Din Shikshakon Ke Saath-Saath Sabhi Vidyaarthiyon Ke Liye Bhi Bahut Hi Mahatvapurn Din Hain. Hum Sabhi Har Saal 5 September Ko Apne Sabhi Shikshakon Ko Sammaan Dene Ke Liye Shikshak Divas Manaate Hain. Is Din Hum Sabhi Apne Teachers Ko Humein Gyaan Dene Ke Liye Unka Aabhaar Vyakt Karte Hain Aur Dhanyavaad Dete Hain.
Bacche Ek Desh Ka Bhavishya Hain Aur Shikshak Bacchon Ke Bhavishya Ka Nirman Kar Unke Liye Ek Aadarsh Marg-Darshak Bankar Ek Aadarsh Nagrik Banane Mein Apni Ek Mahatvapurn Bhumika Nibhata Hai. Shikshak Apna Poora Jeevan Apne Vidyaarthiyon Ko Acche Gyaan Dene Mein Aur Jeevan Mein Sahi Raasta Dikhane Mein Laga Dete Hain. Shikshak Ek Vah Deepak Hai Jo Hamare Andar Ke Andhakaar Ko Ek Ujaale Mein Parivartan Kar Deta Hai.
Mahakavi Kabir Das Bhi Kehte Hain Ki Yadi Hamare Saamne Hamara Shikshak Aur Bhagwan Donon Khade Ho Toh Hamein Sabse Pehle Apne Shikshak Ke Charan Sparsh Karna Chahiye. Kyunki Hamein Shikshak Hi Bhagwan Tak Pahunchne Ke Liye Gyaan Dekar Raasta Dikhata Hai. Teachers’ Day Sabhi Vidyaarthiyon Ke Liye Bahut Hi Mahatv Rakhta Hai. Ek Teacher Hi Hota Hai Jo Kisi Bhi Vidyaarthi Ko Bina Kisi Bhed-Bhaav Ke Apni Shiksha Deta Hai.
Aaj Ke Is Avsar Par Main Sabhi Vidyaarthiyon Ki Taraf Se Sabhi Shikshakon Ko Unke Mahan Kaary Ke Liye Aabhaar Vyakt Karta Hoon Aur Sabhi Shikshakon Ko Shikshak Divas Ki Hardik Shubhkaamnaayein.
Dhanyavaad!
Teachers’ Day Speech in Hindi – 7
Pradhanacharya, Mere Shikshak Aur Mere Sahpathiyon Ko Is Prabhat Vela Mein Mera Vandana!
Aaj Shikshak Divas Hai Aur Hum Yeh Parv Manaane Ke Liye Aaj Yahaan Par Ektrit Hue Hain. Aaj Hamare Poorv Up-Raashtrapati Dr. Sarvepalli Radhakrishnan Ka Bhi Janmadin Hai. Bharat Mein Shikshak Divas Dr. Sarvepalli Radhakrishnan Ki Yaad Mein Manaya Jaata Hai. Jab Vo Bharat Ke Up-Raashtrapati Bane Toh Unke Saathiyon Aur Chhatron Ne Yah Nirnay Liya Ki Unka Janmadin Manaya Jaaye. Lekin Maananiya Dr. Sarvepalli Radhakrishnan Ji Ne Unko Kaha Ki Mera Janmadin Aap Shikshak Divas Ke Roop Mein Manaye Toh Mujhe Bahut Hi Garv Hoga.
1662 Se 5 September Ko Shikshak Divas Bharat Mein Manaya Ja Raha Hai. Dr. Sarvepalli Radhakrishnan Pehle Up-Raashtrapati Aur Dooje Raashtrapati Ke Saath Ek Mahan Shikshak Bhi The. Shikshakon Ko Uchit Sammaan Dene Ke Roop Mein Shikshak Divas Manaya Jaane Laga. Yah Din Chhatron Ke Liye Bahut Hi Mahatvapurn Hai. Is Din Sabhi Chhatra Apne Shikshakon Ka Apne Jeevan Ko Safal Banane Ke Liye Aabhaar Jataate Hain.
Har Bacche Ko Janm Toh Uske Mata-Pita Hi Dete Hain. Lekin Us Bacche Ko Desh Ka Ek Aadarsh Nagrik Aur Safal Vyakti Use Sirf Shikshak Hi Kar Sakta Hai. Har Ek Safal Vyakti Ke Peeche Uske Shikshak Ki Puri Mehnat Ka Parinaam Hota Hai. Apne Shikshak Ki Mehnat Se Hi Vo Apne Jeevan Ki Ek Nayi Shuruaat Karta Hai.
Shikshak Apne Gyaan Se Sabhi Ko Ek Safal Aur Ujjwal Raasta Dikhlaata Hai. Shikshak Hi Ek Sachche Gyaan Ka Saagar Aur Buddhimatta Ka Strot Hai. Vo Hamara Margdarshan Karte Hain, Jisse Ki Hamara Kaushal Vikas Ho Sake. Shikshak Hamari Kai Tarah Se Safalta Paane Mein Madad Bhi Karte Hain.
Main Apne Bhaashan Ke Antim Shabdon Ke Roop Mein Aapse Kehna Chahta Hoon Ki Shikshak Hi Vah Deepak Hote Hain Jo Svayam Jal Kar Doosaron Ko Prakashit Karte Hain. Isliye Pratyek Ko Unki Lagan Aur Mehnat Ka Sammaan Karna Chahiye Tatha Unke Prati Krutagyata Prakat Karni Chahiye.
Mere Sabhi Shikshakon Ko Shikshak Divas Ki Bahut-Bahut Badhaai.-
Dhanyavaad!
Shikshak Diwas Par Bhashan – 8
Priya shikshakon aur saathi chhatron,
Aaj hum sab yahan ek aitihasik mauke par ikatthe hue hain, jo hamein hamare shikshakon ke mahatvapurn yogdaan ki prashansa karne ka avsar pradaan karta hai. Hum sab jaante hain ki shikshakon ka kitna mahatvapurn yogdaan hota hai, na keval hamare vyaktigat vikas mein, balki samaj ke samajik aur aarthik vikas mein bhi.
Shikshak vah divya saaksharata ka pratik hote hain, jo hamein gyaan ki disha mein margdarshan karte hain. Ve hamein sikhate hain ki kaise sochna, samajhna, aur seekhna hai. Shikshak hamein na keval pathyakram ki jaankari pradaan karte hain, balki ve hamein jeevan ke moolyon, naitikta, aur sahi disha mein chalne ki kala ko sikhate hain.
Shikshak Diwas hamein yah sikhata hai ki shiksha sirf kitabon ki jaankari se jyaada hai. Shiksha vyakti ke vyaktigat vikas mein uske mansik, bhavnaatmak, aur aadhyaatmik pehluon ko bhi samaahit karti hai. Shikshak hamein us anmol dharohar ki moolak sanjeevani kshamata pradaan karte hain, jisse hum samaj mein sahi mayne mein apni pehchaan bana sakte hain.
Mere pyaare shikshakon, aap hamare jeevan mein vo deepak hote hain, jinka prakash hamein sahi marg par chalne mein madad karta hai. Aapka sangharsh, samarpan aur mehnat kabhi bhi anmol nahin ho sakta hai. Hum aapke yogdaan ke liye aapka abhaari hain aur hum pratibaddh rahenge ki hum aapke ummedon ka samarthan karne mein safal ho saken.
Aakhir mein, main aap sabhi ke shikshakon ke prati abhaari hoon aur is khaas din ke avsar par aapka hriday se dhanyavaad karta hoon. Hum sabko garv hai ki hamare paas aise margdarshak hote hain, jo hamein safalta ki disha mein prerit karte hain.
Dhanyavaad.
Shikshak Diwas Par Bhashan(Teachers Day Speech in Hindi) – 9
Sabhi shikshakon evam mere pyaare sahapathiyon,
Jaise ki aap sabhi logon ko vidit hai ki aaj hum yahaan shikshak diwas ke shubh avasar par ekatr hue hain. Yahan main apne sabhi sammaanit shikshakon evam sabhi sahapathiyon bhai behno ka swagat karti hoon. Hum apne shikshakon dwara kiye kaaryon ko sveekaar karte hain evam unki sarahna karte hain. Kisi ko shiksha dena sabse badi seva hai. Anadi kaal se shikshan hamare daada-dadi, mata-pita ki kahaniyon ke madhyam se hota raha hai. Jab se guru pranali ka abhyaas kiya gaya hai tab se yah ek shikshan peshe ka roop mein saamne aaya hai.
Shabd “guru” ek Sanskrit ka shabd hai jiska arth hai shikshak, margdarshak, ya vishesgy. Jab hum apne man mein vichaar karte hain, toh hamare jeevan ke sabse pehle guru hamaare mata-pita hain, jo hamein yah shiksha dete hain ki jeevan ki mushkil paristhitiyon mein kaise safalta paana hai. Guru sabhi ke jeevan mein ek bahu mulyavaan hai. Hamare shikshak gan hamein vah shiksha ka gyaan karate hain jo hamein hamare hiton mein padhakar hamein manzil tak pahunchane ka margdarshan karte hain. Aaj Teacher’s day ke is avsar par, hum chhote-chhote tareeke se unka sammaan karte hain.
Yah samaaroh varsh 1962 mein pratham baar Bharat mein aayojit kiya gaya. Bharat varsh mein yah pratyek varsh 5 September ke din manaaya jaata hai. Bharat ke doosre rashtrapati Dr. Sarvepalli Radhakrishnan aur A.P.J. Abdul Kalam, dono hi shikshak hone ka mahatvapooran udaharan hai. Yeh guruon ke sammaan karne ka ek mahatvapurn din hai. Shikshak chhatron ke man ko samajhte hain jiske anusar vah apne chhatra-chhatraaon ko gyaan dene mein sahayog karte hain. Guru hamare jeevan mein hamein kisi bhi samasya ke samadhan khojne ka ek sahi tarika dikhane ka prayas karte hain. Chhatra ka margdarshan karke uske bhagya ko ek naya jeevan daan dene vaala shikshak vah mahatvapooran hissa hai jo safal career banane mein bina kisi nishwaarth bhav se chhatra ka sahayog karte hain. Shiksha chhatraon ke jeevan ke liye vah avashyak gati hai jiske baad anya sabhi mukaam ko apne jeevan mein haasil kar sakte hain.
Dhanyavaad.
Shikshak Diwas Par Bhashan (Teachers Day Speech in Hindi) – 10
Sabhi Shikshakon evam Mere Pyare Sahpathiyon,
5 Sitambar Chatraon ke Jeevan mein Apne Guruon ka Samman karne ke liye ek Vishesh Avsar Pradan karta hai. Yah Shikshak Diwas ke Roop mein Manaya jaane wala vah Mahatvapurn Din hai jiske Tahat Chatraon ko Apne Gurujanon ki Saraahna aur Samman karne ka ek Mauka Pradan karta hai. Yah ek Utsav ke Roop mein Manaya jaane wala Din hai jo Chatraon ke Dwaara Bhashan Pratiyogita evam Anya Prakar ke Shikshakon ko Card Gift dekar Celebrate kiya jaata hai. Chatraon ke liye Shikshakon ke Dwaara Padhaya jaana Vastav mein ek Samman aur Saubhaagya ki Baat hai jo Hame Chhoti-Chhoti Baaton mein Gyaan dekar Mahaan Karya karne ke liye Prerit karti hai. Shikshakon ki Prashansa karna Isliye Avashyak hai kyonki Vah Hamare liye jo Yogdaan dete hain Vah ek Kisi Mahaan Karya se kam nahin hai. Ek Shikshak Apne Jeevan mein Sabse Jyaada Khush Tab hote hain Jab Unke Chatra Apne Jeevan Unse Behtar evam Safal Hone ke liye Viksit hote hain.
Sarvapalli Radhakrishnan Ji ke Janm Din ke Uplaksh Mein Manaya jaane wala ek Vishesh Din hai. Is Din Desh ke Sabhi Schoolon mein Bachchon ke Dwaara Apne Guruon ke Din ko Vishesh Banana ke liye Vibhinn Prakar ke Karyakramon ka Aayojan kiya jaata hai. Paramparik Vaeshbhoosha Pehan ke Chatraon ke Dwaara Shikshak ki Bhoomika Nibhaai jaati hai.
Bachchon ke liye Shikshak Diwas Par Bhashan(Teachers Day Speech in Hindi) – 11
Aadarneey Shikshak aur Pyaare Doston,
Suprabhaat, Aaj is Vishesh Din mein hum Sabhi Shikshak Diwas Manane aur Apne Un Sabhi Pyaare Shikshakon evam Shikshikaon ko Aabhaar Prakat karne ke liye Ekatrhit hue hain jinhone Apne Desh ka Bhavishya banana hetu Apne Chatron ko yaani Hamein Sarvashreshth Shiksha dene ke liye Kadi Mehnat ki hai.
Shikshak Diwas har Saal 5 Sitambar ke Din Anek Khushiyan aur Utsah ke Saath Manaya jaata hai. Aaj hi ke Din Dr. Sarvapalli Radhakrishnan ki Jayanti hoti hai jo ek Prasiddh Vidwan aur Duniya ke Behatarin Shikshak the. Ve Hamare Desh ke Dusre Rashtrapati bhi the. Desh-bhar ke Chatra Apne Sabhi Shikshakon evam Shikshikaon ko Isi Din Samman dete hain aur Unke liye Aabhaar Prakat karte hain kyonki Bachchon ke Bhavishya aur Vyaktitv ko Sanwarna mein Shikshakon ka Bahut Bada Yogdaan hai aur Ve Is Samaj ko Behatar Banate hain.
Yah Kehna Galat nahin hoga ki Sabhi Shikshak aur Shikshika Hamare Mata-Pita ki Tarah hi hote hain. Ve Hamein Nishswarth Bhavana se Padhate hain aur Apne Bachchon ki Tarah hi Maante hain. Yadi Mata-Pita ek Bacche ko Janm dete hain to Shikshak Uske Vyaktitv ko Nikhaarte hain aur Use Ek Achha Insaan Banne mein Madad karte hain. Isliye Ek Chatra Hone ke Naate Hamein Apne Shikshakon aur Shikshikaon ka Samman karna Chahiye aur Unhein Pyaar dena Chahiye. Hamare Shikshak Hamein Prerna dete hain, Hamein Utsahit karte hain, Ve Hamein Gyaan dete hain aur Jeevan ki Kisi bhi Paristhiti ke liye Hamein Taiyar karte hain.
Sabhi Shikshak Hamare liye Kai Tarike se Ek Aashirwad ki Tarah hain. Aaiye Aaj Hum Sabhi Ek Pratigya Lein ki Hum Hamesha Apne Shikshakon ka Samman Karenge, Unki Baat Maanenge aur Achha Insaan Banne ke liye Unka Anusaran Karenge. Aaj Is Vishesh Din par Main Apne Sabhi Shikshakon aur Shikshikaon ko Unke Pyaar aur Margaadarshan ke liye Dhanyavaad Kehna Chahta Hoon.
Dhanyavaad!!
Bachchon ke liye Shikshak Diwas Par Bhashan (Teachers Day Speech in Hindi) – 12
Aapki Shiksha aur Har Khayal ke Saath,
Aapne Humein Bahut Sara Pyaar Bhi Diya Hai,
Wo Sab Kuch Jo Aapne Diya Hai Uske Liye
Aap Ko Bahut-Bahut Dhanyavaad!
Aap Nahin Jaante Ki
Aapne Hamari Kitni Madad Ki Hai,
Har Jeevan Ko Sudharne Aur
Ek Behtar Sansaar Banane Ke Liye,
Aapka Bahut-Bahut Aabhaar!
Pradhanacharya aur Sabhi Shikshikaon va Shikshakon ko Meri Taraf Se Shikshak Diwas ki Shubhkaamnayein!
Shuruaat Mein Kahi Gayi Kuchh Panktiyaan Mujhe Mere Pasandeeda Shikshak ya Shikshika Ki Yaad Dilati Hain Aur Mere Sabhi Doston Ko Bhi Yah Sunkar Unke Pasandeeda Shikshak ya Shikshika Ki Yaad Zaroor Aayi Hogi. Aaj Ka Din Bahut Special Hai Kyunki Aaj Poore Desh Mein Har Chhatra aur Chhatraayein Apne Shikshakon va Shikshikaon Ke Liye Sammaan Aur Aabhaar Prakat Karta Hai Kyunki Har Shikshak ya Shikshika Is Desh Ki Backbone Hai. Hum Sabhi Jaante Hain Ki Har Saal 5 Sitambar Ke Din Dr. Sarvapalli Radhakrishnan Yaad Mein Shikshak Diwas Manaya Jaata Hai. Dr. Radhakrishnan Hamare Desh Ke Dusre Rashtrapati To The Hi Par Iske Alawa Ve Ek Behtareen Shikshak Bhi The. Yah Din Vishesh Aur Mahatvapurn Hai Kyunki Is Din Sabhi Shikshak va Shikshika Shiksha Ke Kshetra Mein Yogdaan Ke Liye Sammaanit Kiya Jaata Hai.
Hamare Kai Rishte Hote Hain Par Jo Rishta Aur Samajh Ek Shikshak ya Shikshika Aur Chhatra va Chhatraa Ke Beech Hoti Hai Vah Sab Rishton Se Pare Hai. Shikshak ya Shikshika Aur Chhatra va Chhatra Ka Rishta Khoon Ka Nahin Hai Par Vah Hamare Shikshak va Shikshika Hi Hain Jo Apne Chhatra va Chhatraa Ki Har Safalta Par Garv Mahsoos Karte Hain. Ve Apne Chhatra va Chhatraa Ki Safalta Ko Sun Kar Vaastav Mein Bahut Zyada Khush Hote Hain. Hamare Shikshakon Ke Prayason Ki Vajah Se Hamari Safalta Sambhav Ho Sakti Hai. Ek Shikshak Ki Mahaanta Ko Duniya Uske Chhatron Ke Maadhyam Se Jaanti Hai. Hamare Shikshak va Shikshika Hi Averge Darje Ke Chhatra va Averge Darje Ki Chhatraa Ko Ek Safal Insaan Mein Badal Sakte Hain.
Is Special Avasar Par Main Apne Sabhi Doston Se Yah Anurodh Karoongi Ki Ve Bhi Mere Saath Sabhi Shikshakon va Shikshikaon Ki Mehnat Ko Saraahne Aur Yeh Sunishchit Karen Ki Ve Hamesha Hamare Dilon Mein Hi Rahenge. Sabhi Chhatron Ki Taraf Se Main Apne Shikshak va Shikshikaon Ka Dhanyavaad Kahoongi Jinhone Humein Prerna Di Aur Sahi Mayne Mein Jeevan Ka Arth Sikhaaya Hai. Aapne Hamare Liye Jo Bhi Kiya Hai Uske Badle Mein Thoda Sa Bhi Kuchh Kar Paana Kathin Hai. Aapke Pyaar Aur Gyaan Ke Liye Hum Poore Dil Se Dhanyavaad Karna Chaheinge. Hamein Padhaane Aur Aage Badhaane Ke Liye Aapka Dhanyavaad. Hum Vaada Karte Hain Ki Hum Ek Achha Chhatra va Achhi Chhatra Banungi/Banoonga Aur Ek Din Aapko Hum Par Garv Hoga.
Dhanyavaad!!
In conclusion, through this “Teachers’ Day Speech,” we have understood and acknowledged the significant contributions of teachers. Their dedication, commitment, and resilience serve as an inspiration, reminding us that teachers are essential pillars of our society’s leadership. By commemorating this day, we should express our gratitude and devotion towards teachers, not only on Teacher’s Day itself but always. We should comprehend their struggles, offer support, and provide them with encouragement to facilitate improvements in leadership within our society. Let’s come together to express our gratitude for their crucial role and as companions to teachers, take steps towards a better future.